Om Jai Saraswati Mata Lyrics – Anuradha Paudwal, is hindi Saraswati Mata Bhajan sung by Anuradha Paudwal from album ‘Saraswati’. Music of song ‘Om Jai Saraswati Mata ‘ given by Pt. Jwala Prasad, while lyrics of song ‘Om Jai Saraswati Mata ‘ is traditional.
Om Jai Saraswati Mata Lyrics
Jai Saraswati Mata,
Maiya Jai Saraswati Mata,
Sadgun Vaibhav Shalini,
Tribhuvan Vikhyata.
Jai Saraswati Mata…
Chandravadani Padmasini,
Dyuti Mangalkari,
Sohe Shubh Hans Sawari,
Atul Tejdhari.
Jai Saraswati Mata…
Bayen Kar Mein Veena,
Dayen Kar Mala,
Sheesh Mukut Mani Sohe,
Gal Motiyan Mala.
Jai Saraswati Mata…
Devi Sharan Jo Aaye,
Unaka Uddhar Kiya,
Paithi Manthara Dasi,
Ravan Sanhar Kiya.
Jai Saraswati Mata…
Vidya Gyan Pradayini,
Gyan Prakash Bharo,
Moh Agyan Aur Timir Ka,
Jag Se Naash Karo.
Jai Saraswati Mata…
Dhoop Deep Phal Meva,
Maa Svikar Karo,
Gyanchakshu De Mata,
Jag Nistar Karo.
Jai Saraswati Mata…
Maa Saraswati Ki Arati,
Jo Koi Jan Gave,
Hitakari Sukhakari,
Gyan Bhakti Pave.
Jai Saraswati Mata…
Jai Saraswati Mata,
Maiya Jai Saraswati Mata.
Sadgun Vaibhav Shalini,
Tribhuvan Vikhyata.
Song Details
Song – Om Jai Saraswati Mata | |
Singer – Anuradha Paudwal | |
Music – Pt. Jwala Prasad | |
Lyrics – Traditional | |
Album – Saraswati | |
Label – T-Series |