Shankar Mera Pyara Lyrics – Anuradha Paudwal, is hindi bhajan sung by Anuradha Paudwal. Music of song ‘Shankar Mera Pyara’ given by Durga Prasad, while lyrics of song ‘Shankar Mera Pyara’ written by Ashish Chandra
Shankar Mera Pyara Lyrics
Shankar Mera Pyara,
Shankar Mera Pyara ।
Maa Ri Maa Mujhe Murat La De,
Shiv Shankar Ki Murat La De ।
Murat Esi Jis Ke Sar Se,
Nikale Ganga Dhara ॥
Shankar Mera Pyara,
Shankar Mera Pyara ।
Maa Ri Maa Vo Damaroo Wala,
Tan Pe Pahane Mrag Ki Chala ।
Raat Mere Sapano Mein Aaya,
Aa Ke Mujh Ko Gale Lagaya ।
Gale Laga Kar Mujh Se Bola,
Main Hoon Tera Rakhawala ॥
Shankar Mera Pyara,
Shankar Mera Pyara ।
Maa Ri Maa Mujhe Murat La De,
Shiv Shankar Ki Murat La De ।
Murat Esi Jis Ke Sar Se,
Nikale Ganga Dhara ॥
Shankar Mera Pyara,
Shankar Mera Pyara ।
Maa Ri Maa Vo Mera Swami,
Main Uske Pat Ki Anugami ।
Wo Mera Hai Taran Haara,
Us Se Mera Jag Ujiyara ।
Hai Prabhu Mera Antaryami,
Sab Ka Hai Vo Rakhawala ॥
Shankar Mera Pyara,
Shankar Mera Pyara ।
Maa Ri Maa Mujhe Murat La De,
Shiv Shankar Ki Murat La De ।
Murat Esi Jis Ke Sar Se,
Nikale Ganga Dhara ॥
Shankar Mera Pyara,
Shankar Mera Pyara ।
Song Details
Song – Shankar Mera Pyara
Singer – Anuradha Paudwal
Music – Durga Prasad
Lyrics – Ashish Chandra
Label – T-Series
Watch ‘ Shankar Mera Pyara ‘ Music Video
Get Exciting Offer On Customised T-SHIRTS For Order Visit – @noddyme
Shanaishwara Shanaishwara Dayavant Ho Lyrics, is hindi Shani Dev Bhajan sung by Anuradha Paudwal and Hariharan. Music of song ‘Shanaishwara Shanaishwara’ given by Vilash Jogalekar, Prashant Thakre, Pramod Saane, while lyrics of song ‘Shanaishwara Shanaishwara’ written by Jagdish Khebudkar
Shanaishwara Shanaishwara Lyrics
Shaneshwara Shaneshwara
Dayavant Ho Shaneshwara
Shaneshwara Shaneshwara
Dayavant Ho Shaneshwara
Nisdin Tera Bhajan Karenge
Nisdin Tera Bhajan Karenge
Kripavant Ho Shaneshwara
(Shaneshwara Shaneshwara
Dayavant Ho Shaneshwara
Shaneshwara Shaneshwara
Dayavant Ho Shaneshwara)
Matti Ke Kumbh Par Teri
sthapana Karenge Swami
Hum Shudh Tail Se Tujhpar
Abhishek Karenge Swami
Vrat Lenge, Shani Katha Sunege
Vrat Lenge, Shani Katha Sunege
Kripavant Ho Shaneshwara
(Shaneshwara Shaneshwara
Dayavant Ho Shaneshwara
Shaneshwara Shaneshwara
Dayavant Ho Shaneshwara)
Panchamrit Jal Se Tujhko
Hum Nehlayenge Ishwar
Fhal, Phool, Grand Se Pooja
Hum Roj Karenge Ishwar
Shanichar Ka Upvas Karenge
Shanichar Ka Upvas Karenge
Kripavant Ho Shaneshwara
(Shaneshwara Shaneshwara
Dayavant Ho Shaneshwara
Shaneshwara Shaneshwara
Dayavant Ho Shaneshwara)
Dahi, Ghee Ka Bhoj Chada Kar
Gurgaan Karenge Bhagvan
Gur, Loh, Neel Vastron Ka
Hum Daan Karenge Bhagvan
Shani Mahavya Ka Pathan Karenge
Shani Mahavya Ka Pathan Karenge
Kripavant Ho Shaneshwara
(Shaneshwara Shaneshwara
Dayavant Ho Shaneshwara
Shaneshwara Shaneshwara
Dayavant Ho Shaneshwara)
Grah Dasha Aayi Brahma Ko
Shiv Harishchandra Ravan Ko
Grah Dasha Aayi Brahma Ko
Shiv Harishchandra Ravan Ko
Tu Shradha Sthan Hamara
Din Raat Japenge Tujhko
Pipaleshwar Mahadev Bhajenge
Pipaleshwar Mahadev Bhajenge
Kripavant Ho Shaneshwara
(Shaneshwara Shaneshwara
Dayavant Ho Shaneshwara
Shaneshwara Shaneshwara
Dayavant Ho Shaneshwara)
Nisdin Tera Bhajan Karenge
Nisdin Tera Bhajan Karenge
Kripavant Ho Shaneshwara
(Shaneshwara Shaneshwara
Dayavant Ho Shaneshwara
Shaneshwara Shaneshwara
Dayavant Ho Shaneshwara
Shaneshwara Shaneshwara
Dayavant Ho Shaneshwara
Shaneshwara Shaneshwara
Dayavant Ho Shaneshwara
Shaneshwara Shaneshwara
Dayavant Ho Shaneshwara
Shaneshwara Shaneshwara
Dayavant Ho Shaneshwara
Shaneshwara Shaneshwara
Dayavant Ho Shaneshwara)
Song Details
Song – Shanaishwara Shanaishwara
Singer – Anuradha Paudwal and Hariharan
Music – Vilash Jogalekar, Prashant Thakre, Pramod Saane
Lyrics – Jagdish Khebudkar
Label – T-Series
Watch ‘ Shanaishwara Shanaishwara ‘ Music Video
Get Exciting Offer On Customised T-SHIRTS For Order Visit – @noddyme
Itna Toh Karna Swami Jab Pran Tan Se Nikle Lyrics, is hindi Bhajan sung by Anuradha Paudwal. Music of song ‘Itna Toh Karna Swami Jab Pran Tan Se Nikle’ given by Pradyuman Sharma, while lyrics of song ‘Itna Toh Karna Swami Jab Pran Tan Se Nikle’ is traditional.
Itna Toh Karna Swami Jab Pran Tan Se Nikle Lyrics
Itana To Karana Svaami,
Jab Praan Tan Se Nikalen,
Govind Naam Lekar,
Phir Praan Tan Se Nikale.
Shri Ganga Ji Ka Tat Ho,
Yamuna Ka Vanshivat Ho,
Mera Saanvara Nikat Ho,
Jab Praan Tan Se Nikale,
Itana To Karana Svaami,
Jab Praan Tan Se Nikalen.
Pitaambari Kasi Ho,
Chhavi Man Mein Yah Basi Ho,
Honthon Pe Kuchh Hansi Ho,
Jab Praan Tan Se Nikale,
Itana To Karana Svaami,
Jab Praan Tan Se Nikalen.
Shri Vrndaavan Ka Sthal Ho,
Mere Mukh Mein Tulasi Dal Ho,
Vishnu Charan Ka Jal Ho,
Jab Praan Tan Se Nikale,
Itana To Karana Svaami,
Jab Praan Tan Se Nikalen.
Jab Kanth Praan Aave,
Koi Rog Na Sataave,
Yam Darshana Dikhaave,
Jab Praan Tan Se Nikale,
Itana To Karana Svaami,
Jab Praan Tan Se Nikalen.
Us Vaqt Jaldi Aana,
Nahin Shyaam Bhul Jaana,
Raadha Ko Saath Laana,
Jab Praan Tan Se Nikale,
Itana To Karana Svaami,
Jab Praan Tan Se Nikalen.
Sudhi Hove Naahin Tan Ki,
Taiyaari Ho Gaman Ki,
Lakadi Ho Brj Ke Van Ki,
Jab Praan Tan Se Nikale,
Itana To Karana Svaami,
Jab Praan Tan Se Nikalen.
Ek Bhakt Ki Hai Araji,
Khudagarj Ki Hai Garaji,
Aage Tumhaari Marazi,
Jab Praan Tan Se Nikale,
Itana To Karana Svaami,
Jab Praan Tan Se Nikalen.
Ye Nek Si Araj Hai,
Maanon To Kya Haraj Hai,
Kuchh Aap Ka Faraj Hai,
Jab Praan Tan Se Nikale,
Itana To Karana Svaami,
Jab Praan Tan Se Nikalen.
Song Details
Song – Itna Toh Karna Swami Jab Pran Tan Se Nikle
Singer – Anuradha Paudwal
Music – Pradyuman Sharma
Lyrics – Traditional
Label – T-Series
Watch ‘ Itna Toh Karna Swami Jab Pran Tan Se Nikle ‘ Music Video
Get Exciting Offer On Customised T-SHIRTS For Order Visit – @noddyme
Main Pardeshi Hoon Lyrics – Anuradha Paudwal, is hindi Mata Rani Bhajan sung by Anuradha Paudwal and Udit Narayan from ‘Jagran Ki Raat’. Lyrics of song ‘Main Pardeshi Hoon’ written by Saral Kavi
Main Pardeshi Hoon Lyrics
Main Pardesi Hun Pehli Bar Aaya Hun, Darshan Karne Maiya Ke Darbar Aaya Hun । Ai Lal Chunariya Wali Beti Ye to Batao Maa Ke Bhawan Jane Ka Rasta Kidhar Se Hai Idhar Se Hai Ya Udhar Se Sun Re Bhakt Pardesi, Itni Jaldi Hai Kaisi Are Jara Ghum Lo Phir, Lo Raunak Dekho Katra Ki
Jao Tum Wahan Jao, Pahale Parchi Katao Dhyan Maiya Ka Dharo, Ik Jaikara Lagao Chale Bhakton Ki Toli, Sang Tum Mil Jao, Tumhe Rasta Dikha Doon, Mere Pichhe Chale Aao
Ye Hai Darshni Dayodhi, Darshan Pahla Hai Ye Karo Yatra Shuru to, Jay Mata Di Kah Yahan Talak to Layi Beti, Aage Bhi Le Jao Na ॥ Main Pardesi Hun Pehli Bar Aaya Hun ॥ Itna Sheetal Jal, Ye Kaun Sa Sthan Hai Beti?
Ye Hai Banganga, Pani Amrit Saman, Hota Tan Man Pawan, Karo Yahan Re Snaan Matha Mandir Mein Teko, Karo Aage Prasthan, Charan Paduka Vo Aai, Jane Mahima Jahan Maiya Jag Kalyani, Maaf Karna Meri Bhool, Mainne Mathe Pe Lagai, Teri Charnon Ki Dhool Yahan Talak to Layi Beti, Aage Bhi Le Jao Na ॥ Main Pardesi Hun Pehli Bar Aaya Hun ॥ Ye Ham Kaha Aa Pahunche, Ye Kaun Sa Sthan Hai Beti?
Ye Hai Aadi Kuwari, Mahima Hai Iski Bhari Garbhjoon Vo Gupha Hai, Katha Hai Jiski Nyari Bhairon Jati Ik Jogi, Maas Madira Aahari, Lene Maa Ki Pariksha, Baat Usne Vichari Maas Aur Madhu Mange, Mati Uski Thi Mari Hui Antardhyan Mata, Aaya Peechhe Durachari Nau Maheene Isi Me Rahi, Maiya Avtari Ise Gupha Garbhjoon Jane, Duniya Ye Sari Aur Gupha Se Nikalkar Mata Vaishno Rani, Upar Pawan Gupha Mein Pindi Roop Me Prakat Hui
Dhany Dhany Meri Mata, Dhany Teri Shakti Milti Paapon Se Mukti, Karke Teri Bhakti Yahan Talak to Layi Beti, Aage Bhi Le Jao Na ॥ Main Pardesi Hun… ॥ Oh Meri Maiya ! Itni Kathin Chadhai, Ye Kaun Sa Sthan Hai Beti?
Dekho Unche Vo Pahad, Aur Gahari Ye Khai Jara Chadhna Sambhal Ke, Hathi Matthe Ki Chadhai Tedhe Medhe Raste Hai, Par Darna Na Bhai Dekho Samne Vo Dekho, Sanjhi Chhat Ki Dikhai Pardesi Yahan Kuchh Kha Lo Pi, Thoda Aaram Kar Lo, Lo Bas Thodi Yatra Aur Baki Hai
Aisa Lagta Hai, Mujhko Mukam Aa Gaya Mata Vaishno Ka, Nikat Hi Dham Aa Gaya Yahan Talak to Layi Beti, Aage Bhi Le Jao Na ॥ Main Pardesi Hun… ॥ Wah Kya Sundar Nazara, Aakhir Ham Maa Ke Bhawan Pahunch Hi Gaye Na Ye Pawan Gupha Kidhar Hai Beti?
Dekho Samane Gupha Hai, Maiya Rani Ka Duara Mata Vaishno Ne Yahan, Roop Pindiyon Ka Dhara Chalo Ganga Mein Naha Lo, Thali Pooja Ki Saja Lo Leke Laal Laal Chunri, Apne Sar Pe Bandhwa Lo Jake Sinduri Gupha Mein, Maa Ke Darshan Pa Lo Bin Mange Hi Yahan Se, Mann Ichchha Phal Pa Lo
Gupha Se Bahar Aakar, Kanjke Bithate Hain, Unko Halwa Poori Aur, Dakshina Dekar Aashirwad Paten Hai, Aur Lautte Samay Baba Bhairo Nath Ke Darshan Karne Se Yatra Sampoorn Mani Jati Hai
Aaj Tumne Saral Pe, Upkar Kar Diya Daman Khushiyon Se, Aanand Se Bhar Diya Bhej Bulava Agle Baras Bhi, Pardesi Ko Bulao Maa Har Saal Aaunga, Jaise Is Baar Aaya Hun ॥ Main Pardesi Hun… ॥ Main Pardesi Hun Pehli Bar Aaya Hun, Darshan Karne Maiya Ke Darbar Aaya Hun ।
Song Details
Song – Main Pardeshi Hoon
Singer – Anuradha Paudwal and Udit Narayan
Lyrics – Saral Kavi
Album – Jagran Ki Raat
Label – T-Series
Watch ‘ Main Pardeshi Hoon ‘ Music Video
Get Exciting Offer On Customised T-SHIRTS For Order Visit – @noddyme
Om Jai Saraswati Mata Lyrics – Anuradha Paudwal, is hindi Saraswati Mata Bhajan sung by Anuradha Paudwal from album ‘Saraswati’. Music of song ‘Om Jai Saraswati Mata ‘ given by Pt. Jwala Prasad, while lyrics of song ‘Om Jai Saraswati Mata ‘ is traditional.
Om Jai Saraswati Mata Lyrics
Jai Saraswati Mata, Maiya Jai Saraswati Mata, Sadgun Vaibhav Shalini, Tribhuvan Vikhyata. Jai Saraswati Mata… Chandravadani Padmasini, Dyuti Mangalkari, Sohe Shubh Hans Sawari, Atul Tejdhari. Jai Saraswati Mata…
Bayen Kar Mein Veena, Dayen Kar Mala, Sheesh Mukut Mani Sohe, Gal Motiyan Mala. Jai Saraswati Mata… Devi Sharan Jo Aaye, Unaka Uddhar Kiya, Paithi Manthara Dasi, Ravan Sanhar Kiya. Jai Saraswati Mata…
Vidya Gyan Pradayini, Gyan Prakash Bharo, Moh Agyan Aur Timir Ka, Jag Se Naash Karo. Jai Saraswati Mata… Dhoop Deep Phal Meva, Maa Svikar Karo, Gyanchakshu De Mata, Jag Nistar Karo. Jai Saraswati Mata…
Maa Saraswati Ki Arati, Jo Koi Jan Gave, Hitakari Sukhakari, Gyan Bhakti Pave. Jai Saraswati Mata… Jai Saraswati Mata, Maiya Jai Saraswati Mata. Sadgun Vaibhav Shalini, Tribhuvan Vikhyata.
Song Details
Song – Om Jai Saraswati Mata
Singer – Anuradha Paudwal
Music – Pt. Jwala Prasad
Lyrics – Traditional
Album – Saraswati
Label – T-Series
Watch ‘ Om Jai Saraswati Mata ‘ Music Video
Get Exciting Offer On Customised T-SHIRTS For Order Visit – @noddyme