Abhi Mujh Mein Kahin Lyrics – Agneepath, is hindi song sung by Sonu Nigam from movie ‘Agneepath’. Music of song ‘Abhi Mujh Mein Kahin’ given by Ajay – Atul, while lyrics of song ‘Abhi Mujh Mein Kahin’ written by Amitabh Bhattacharya. Starring Hrithik Roshan and Priyanka Chopra
Abhi Mujh Mein Kahin Lyrics
Abhi mujh mein kahin
Baaki thodi si hai zindagi
Jagi dhadkan nayi
Jaana zinda hoon
main toh abhi
Kuch aisi lagan
iss lamhe mein hai
Ye lamha kahaan tha mera
Ab hai saamne
Issey chhoo loon zaraa
Mar jaaoon ya jee loon zaraa
Khushiyaan choom loon
Yaa ro loon zaraa
Mar jaaun ya jee loon zaraa
Ho o.. abhi mujh mein kahin
Baaqi thodi si hai zindagi
Ho.. dhoop mein
jalte huye tann ko
Chhaya pedh ki mill gayi
Roothe bachche ki hansi jaise
Phuslaane se phir khill gayi
Kuchh aisa hi abb mehsoos
Dil ko ho rahaa hain
Barson ke purane zakhm pe
Marham laga sa hain
Kuch aisa rahem,
Iss lamhe mein hai
Ye lamha kahaan tha mera
Ab hai saamne
Issey chhoo loon zara
Mar jaaoon ya jee loon zara
Khushiyaan choom loon
Yaa ro loon zaraa
Mar jaaun yaa jee loon zaraa
Dor se tooti patang jaisi,
Thi ye zindagani meri
Aaj ho kal ho mera naa ho
Har din thi kahani meri
Ik bandhan naya peechhe se
Abb mujhko bulaaye
Aane waley kal ki kyun fikar
Mujhko sata jaaye
Ik aisi chubhan
Iss lamhe me hai
Ye lamha kahaan tha mera aa
Ab hain saamne
Issey chhoo loon zara
Mar jaaoon ya jee loon zara
Khushiyaan choom loon
Yaa ro loon zaraa
Mar jaaoon ya jee loon zara
Song Details
Song – Abhi Mujh Mein Kahin | ||
Singer – Sonu Nigam | ||
Music – Ajay – Atul | ||
Lyrics – Amitabh Bhattacharya | ||
Album – Agneepath | ||
Label – Sony Music India |